Wednesday 16 July 2014

NAFRAT



Mujhe NAFRAT hoti hai unse,
Jo nahi jaante ki,
Jindagi ka matlab sirf,
Jeena nahi hota.

Mujhe NAFRAT hoti hai unse,
Jo Taulte hai Risto ko,
Daulat ke taraazu par,
Aur baatte hai use,
Amiri ka naam dekar.

Mujhe NAFRAT hoti hai unse,
Jo sone ki Mehak,
Paane ke liye Bhula dete hai,
Mitti ki khusboo ko.

Mujhe NAFRAT hoti hai unse,
Jo nahi jaante,
Us sukh ko jo milta hai,
Dusro ko khusi dekar.

Mujhe NAFRAT hoti hai unse,
Jo nahi jaante Pyaar karna,
Wo pyaar jo ki,
Sirf dil se hota hai.

Mujhe NAFRAT hoti hai Unse,
Jo nayi SABHYATAA ko apnaate hue,
Bhula rahe hai,
Apni hi SANSKRITI ko.

Mujhe NAFRAT hoti hai,
Un sabhi cheezo se,
Jo alag karti hai,
Ek INSAAN ko INSAAN se,
Aur todti hai Jindgiyo ko..............


VIJAY KHEMKA.....


give ur feedback plz......